Posted On: June 2nd 2024, 02:26 pm
"ao ge jab tum o sajna, angana phool khilein ge"
tum ho bhi ya ho mehz aik khayal. tumhare baray me sochti houn tou dil kamzor parhne lagta hai. tumse jurri har cheez jese mujhey torh dene par qadir hai.
jahan tumhara saath meri taaqat ban gaya tha aaj bas tumhari yaad hai jis ne aik dhaagay ki maanind mujhe jakarh kar rakha howa hai.
na jaanay kab tak sirf tumharay laut jaanay ke aasray par ye zindagi humara saath de gi. waqt khud ko samait raha hai aur mein bikharti jarhi houn. ab tou tumhari awaz bhi bhoolne lagi hai mujhey aur mere paas aik dua ke siwa ab tumhe dene ko kuch baaqi bhi nahi.
khud ke saath rehna tou mene bohat pehle hi seekh lia tha, magar iss faaslay ne ye ehsaas dilaya k meri khud mein tou tum aa basay thay.
ab sirf tumhari yaad hai aur aik adhoori si mein.
@fatima_tu_zahraa .
Song: aik bar dekh lijiye
Muse:
@romaisa.khan._ Load More