Posted On: September 26th 2024, 02:08 pm
na jaanay kis cheez ki talash mai thi kay achanak tum par nazar pari aur us lamhay mai sab tehar sa gaya. meray dil nay usi lamhay tujhay chun lia tha. kab, kesay, kiun? ye nahi socha lekin kehtay hain na jo naseeb ka hota hai wo khud chal kay aata hai rizq ki tarah. phir aik safar tha, na-mumkin say mumkin tak jo shayad khasa taweel tha lekin ab dekhoun tou lagta hai yahi koi aik din ki baat thi. aaj tum meray samnay meray hath mai hath dalay kharay ho tou lagta hai sab hasil hai, jesay aaj say pehlay sab be-mayani tha. tum meri zindagi ka sab say khoobsurat hissa ho. us pehli nazar ka asar puri zindagi rahay ga
.
-@writingsbyfatimah
.
Video and illustration:
@ayeshafahimmSong: Tum ho agar
Muse:
@yumnazaidiofficial @ahmedaliakbarofficial Load More