Posted On: June 19th 2025, 12:37 pm
woh kehte hain khud ko samait lena hi sab se barri bahaduri hai. magar jab mere khud ke haath mujhey sahara dene ke qaabil
na houn tou ye kese mumkin hai. woh jo jaan se bhi zada pyaara tha, younhi aik din humse aese bicharh jaye jese
kabhi woh humara kuch tha hi nahi.
woh mujhmein basta tha, uski rawangi mere wajood ka aik hissa apne saath le gayi.
harr barhte din khud ko iss zindagi ke lamhoun kein samait lenay hi mein faraar paanay laga. har uss pal ko bhulanay
ki koshish mein, jo uske saath guzra ho. ab haal aesa hai keh mein inn lamhaat ka aik hissa hi lagnay laga houn. aaj houn kal nahi.
younhi jou apney mere mein bastay hain, woh guzrtay waqt ke saath judaayi ikhtiyaar karne lagay hain. mein harr bicharte shakhs ke saath
apne aap ko bikharta dekhta houn. unki kami shayad koi aur poori kar paye, magar iss ehsaas ki takleef ke shayad uss se phir mulaaqat na hogi,
harr naye rishtay par asar andaaz honay lagi hai.
shayad issi tarah insaan inn takaleef ke saath khatam hota chala jaata hai. akhir mein uske paas apnoun ke paas lout jaanay ke siwah aur koi raasta
hi nahi bachta, woh kisi aur ke dil ki takleef bann kar rukhsat hojata hai.
@fatima_tu_zahraa .
Song : Tose naina lagay
Muse :
@nellopimes @iqrakainatkhan Work by:
@hashimali90 Reference photo by :
@snaqvi Illustration and video :
@ayeshafahimm Load More